Saturday, January 29, 2011

LAKSHYA

Lakshya ki raah par bina soche chalta chal;
mulyawaan hai is raah per har pal.
gar man bhatakta hai raah se jhuthe dilansho par;
yaad rakh manzil milegi puri kimat ada karne hi par.
khush hona hai tto lakshya ko pane ke kshan ko mahsus kar;
khush hona hai tto lakshya ke raah ke khatte-mithe anubhav ko chakha kar.
gum hi dengi ye lakshya ko bhula dene wali bhatkaav,
gum hi dengi ye anushaashanhinta lakshya ki kimat ko chadm karke dengi ye ghaav.
adig ,dridh ,aatmavishwas se paripurn hokar,
paa le manzil ko anushaasit bankar.
pahchaan teri tera intzaar kar rahi,
manzil ko chumne ki ghadi teri raah tak rahi.

No comments:

Post a Comment